SHAITAAN: Quran Pak main lafaz shytan 88 bar aya hai.
Shytan qoom jinnat main se hai. Shytan ke mani had se guzar jany wala
ke hain. Iblees ka asal naam Izraeel hai lykin Allah ke nafarmani ke
waja se isy iblees ka laqab mila hai. Shytan ke ata-at wohi log kerty
hain jin ka nafas ya mizaj biger jata hai. in ko b aisay kam ker ke lazat milti hai jis se shaytan ko milti hai.
shytan ke pairo-kar log,
jaduger, sifli amel, sifli aloom aur jadu kernay walay hoty hain ju
makhook khuda ko takleef de ker, pryshan kar ke kush hotay hain. Shytan
roz awal se aulaad adam ka khula dushman hai. ye tamam bad kuwatoon,
shar, fasad or nahas kuwatoon ka sardar hai.Shytan ke bar Quran Pak main
isrshad hota hai, “Shetan tumhara khula dushman hay isliye tum bhi isay apna dushman samjho”{ Surah Fatir}
Surely,
Shaitan (Satan) is an enemy to you, so take (treat) him as an enemy. He
only invites his Hizb (followers) that they may become the dwellers of
the blazing Fire.
JINAAT aur insano
main aik chez mushtarik hai kah dono main acha or bura rasta muntakhib
karne ki salahiyat mojood hai. jin ko jin is liy kaha jata hai kioun kah
ye ankhoon se ojhal hota hai. jin naik be hotay hain aur bad be. naik
jinat ko musakhir kerna boht mushkil hota hai jab ke shareer jinat ko
kuskhir kerna asan hai per yay jaduger in se bury kam karwata hai. Quran
Pak main Irshad hota hay;
Surah Al-Jinn verse no 01,
Say (O
Muhammad SAW): "It has been revealed to me that a group (from three to
ten in number) of jinns listened (to this Quran). They said: 'Verily! We
have heard a wonderful Recital (this Quran)
Surah Al-Jinn verse no 06,
'And
verily, there were men among mankind who took shelter with the masculine
among the jinns, but they (jinns) increased them (mankind) in sin and
disbelief.
Bud or sharer jinnat insano ko mamooli ghalti per jakar letee hein or in kay zahan o hawas ko mukhtil kar dete hein. Dar or
khof ka aik khauf aisay shakhs ko har wakt gheray rakhta hay jo inka
shikar ho jata hay. In kay thikano per hadiyan, kankar, sookhay saray
pattay, inki ghiza kay tor per bikhray miltay hein. Ager ye kisi insane
k hathon taskheer ho ker is kay tabay ho jaein to bhi mokay ki talash
mein rahtay hein or junhi amil say koi ghalti ho jaye to isay jaan say
maar dete hein.
CHURAIL Ibleesi
tolay ki behad khatarnaak rukn hay. Ye jadogaron or sahiron ke liy
bepanah kashish ki hamil hay. In kay najaiz or buray kamom mein bohat
madad krti hay. ye zina ki shokeen hoti hay. Ager jaadogar isay taskheer
kar lay to isay iski jismani khuwahish puri karne kay ewaz hi kaam le
sakta hay. Ager ye kisi nojwan ko apne bus mein kar le to isay dino mein
choos kar maar dalti hay. Insani kaleja or dil iski man pasand ghiza
hay. Ye koi bhi kaam man marzi nazrana liye bager nahi karti, or kisi
insani bachay ki qurbani le ker jismani talab tak kisi bhi shakal mein
ho sakta hay.
BHOOT Kisi
hadsay, ghair mutawakkay hallat or nahaq khoon kay nateejay mein marnay
walon ki arwah bhoot ban ker insano ko chimat jati hein or jis ghar ya
jagah inka basera hota hay wahan khilaf e mamool wakiyaat waqoo o pazeer
honay lagtay hein. Ye kisi ko aram say rahnay nahi dete or dara ker
khofzada kar k jagah chorne per majboor kar det ehein.
MOKKIL O HAMZAAD Jaddoi
amliyat k mooklat or hamzaad sifli ilm kay tabiya hotay hein. Inko
sifli ilm ya kalay jadu kay amiliyat kay zariye musakkhir kia jata
hay. Ye behad najaiz shartein aaid kar kay aamil kay liye kam kartay
hein or jab wo koi shart poori nahi karta to usay mot k ghaat utar dete
hein. Ye apne aamil ka her kaam bakhoobi anjam dete hein or ager koi
amil inki taskheer mein nakam ho jaye to usko bhoot ki tarah chimat jtay
hein. Amil nakam honay kay baad in kay paida karda dar or khof say
zinda dargor huwa jata hay. Inki shakal bahad khofnak or jan lewa hoti
hay.
CHALAWA Yeh rat
kay wakt sunsan jaghon pr raston men rahgeero ko mukhtalif khofnak
sooratein bana ker darata hay or is kay hathon khofzada honay wala tez
bukhar mein mubtala ho jata hay. Ager koi naik aamil iska ilaaj karay to
mareez chand roz mein thik ho jata hay warna bukhar ka arsa maheeno per
muheet ho jata hay.
MASAN Shamshaan
mein jalaye gaye murday ki raakh ager kisi ko makhsoos sifli amal parh
ker khila di jaye to wo shaks aeryan ragar ragar kar mar jata hay. Khof
or waham is per ghalba hasil kar lete hein. Iska khoon khushk hotay
hotay khatam ho jata hay. Mareez ka pata nahi chalta or isay kaano mein
mukhtalif awazein ati hein jo isay khof zada kar k mot kay mun mein le jati hein.
Akser aisa hota hay kay
ye nadeeda kuwwatein apnay shikaar ko bahad khofnak shaklon mein samnay a
ker darati hein or aik din isay khirki ya chat say kood kar, galay mein
phansi ka phndadal ker,
garden apnay tez dhaar hatho say kaat kar ya paani mein dob kar marne
per majboor kar deti hein. Is kuwwat e bad ko mareez per musallat kerne
ka maksad hi uski mot hota hay jo bazahir khudkushi maloom ho.
BAIR Seher hinood mein ye mokilaat hi ki aik kisum hay. Jisko apne shikar per musallat kar dia jata
hay jis say wo isay her wakt nadeeda kuwwaton ki taraf say khof or ulti
seedhi harkaton ka samna karna parta hay. Is kay ird gird ke cheezein
girnay or lightein khud bakhud jalti bujhti hein. Aag lag jati hay, pani
ki jagah nalkon say khoon anay lagta hay gharz ye kay aisi khofnak
surat e haalt ho jati hay kay mareez chand dino mein ya to pagal ho jata
hay ya jaan say hath dho bethtta hay.
No comments:
Post a Comment